Ghulam Ali - Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai



Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai;
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai!

Khench lena voh mera parde ka kona da-fatan;
Aur dupatte se tera voh munh chhupaana yaad hai

Berukhi ke saath sunna darde dil ki daastan;
Woh kalaai main tera kangan ghumana yaad hai!

Waqt-e-rukhsat alvida ka lafz kehne ke liye;
Woh tere sukhe labon ka thar-tharana yaad hai!

Aa gaya kal wasl ki shab bhi kahi zikr-e-firaaq;
Woh tera ro ro ke bhi mujhko rulana yaad hai!

Do paher ki dhoop mein mere bulaane ke liye;
Vo tera kothe pe nange paaon aana yaad hai!

Ba-hazaran istirabo sad-hazaraan ishteyaque;
Mujhse vo pehle pehal dil ka lagana yaad hai!

Jaan kar hota tujhe wo kasad-e-pabosi mera;
Aur tera thukra ke sar wo muskurana yaad hai!

Tujhko jab tanha kabhi pana to aj-raahe lihaaz;
Hale dil baton hi baton me jatana yaad hai!

Jab siwa mere tumhara koi diwana na tha;
Sach kaho kya tumko bhi wo kaarkhana yaad hai!

No comments:

Post a Comment