Ghulam Ali: Bahaaron ko chaman yaad aa gaya hai



बहारों को चमन याद आ गया है - गुलाम अली

Bahaaron ko chaman yaad aa gaya hai;
Mujhe wo gulabadan yaad aa gaya hai!

Lachakati shaakh ne jab sar uthaaya;
Kisi ka baankapan yaad aa gaya hai!

Teri suurat ko jab dekha hai main ne;
Uruuch-e-fiqr-o-fan yaad aa gaya hai!

Meri kaamoshi pe hansane waalon;
Mujhe wo kam-sukhan yaad aa gaya hai!

Mile wo ajanabi ban kar to 'Rafat';
Zamaane ka chalan yaad aa gaya hai!

Gulam Ali: Baalam mohe chhod ke na ja



 बालम मोहे छोड़ के ना जा - गुलाम अली
Baalam mohe chhod ke na ja
Main tose binati karat hoon

Tum bin saajan kachhu naahin bhaaye
Bin dekhe tohe chain na aaye
Sunaapan mohe det daraave
बालम मोहे छोड़ के ना जा;
मैं तोसे बिनती करत हूँ..!

तुम बिन साजन कुछ नहीं भाए;
बिन देखे तोहे, चैन ना आये;
सूनापन मोहे देत डरावे..!