kabhi khamosh baithogi kabhi kuch gungunaogi
kabhi khamosh baithogi kabhi kuch gungunaogi
kabhi khamosh baithogi kabhi kuch gungunaogi
mai utna yaad aaunga mujhe jitna bhulaogi
kabhi khamosh baithoge kabhi kuch gungunaoge
kabhi khamosh baithoge kabhi kuch gungunaoge
mai utna yaad aaungi mujhe jitna bhulaoge
padoge khat kabhi mere kabhi tasvir dekhoge
kabhi hatho me jo likhi hai wo takdir dekhoge
likhogi kuch hatheli par padogi kuch kitabo me
nazar aaunga mai tumko sawalo me jawabo me
kabhi tum muskuraogi kabhi aansu bahaogi
kisi se kuch chhupaogi kisi ko kuch bataogi
kabhi khamosh baithoge kabhi kuch gungunaoge
mai utna yaad aaungi mujhe jitna bhulaoge
mere sine pe sar rakh kar gujari hai kai rate
bhula sakti ho tum kaise wo pal pal ki mulakate
nayi rato m etum aksar purane din talashoge
koi chehara bhi mil jaye mera chehara tarashoge
meri tasvir phenkoge na mere khat jalaoge
diya apne sirahne ka jalaoge bhujaoge
kabhi khamosh baithogi kabhi kuch gungunaogi
mai utna yaad aaunga mujhe jitna bhulaogi
Song Heading | Singer | Music By | Lyricist | Movie / Album | Actor | Category |
|
Kabhi Khamosh Baithogi | Mahalakshmi Iyer, Babul Supriyo | Naresh Sharma | Deepak Sneh | Chehraa (2005) | Dino Morea, Bipasha Basu | Romantic Songs |
No comments:
Post a Comment