भुला भी दे उसे जो बात हो गयी प्यारे - गुलाम अली
Bhula bhi de use jo baat ho gayi pyaare;
Naye charaag jala raat ho gayi pyaare!
Na teri yaad na duniya ka gam na apana kayaal;
Ajib suurat-e-haalaat ho gayi pyaare!
Teri nigaah-e-pashemaan ko kaise dekhunga;
Kabhi jo tujhase mulaakaat ho gayi pyaare!
Kabhi kabhi teri yaadon ki saanwali rut men;
Bahe jo ashq to barasaat ho gayi pyaare!
Wafa ka naam na lega koyi zamaane men;
Ham-ahal-e-dil ko agar maat ho gayi pyaare!

No comments:
Post a Comment